Aaina Lyrics - QK | MTV Hustle 2.0

Aaina Lyrics - QK (Hustle 2.0)

Lyrics In English - Latest Hindi song from TV Show MTV Hustle 2.0 is Sang By QK, And Music is given by QK  And lyrics of the song are also written by QK

Aaina
Singer QK
TV Show MTV Hustle 2.O
Music QK
Song WriterQK

Aaina Lyrics 



Akeli thi aayi akeli hai jaana
Ae jaana yeh baat samajh ja
Woh jo samajh nahi paate
Bas itni si teri samasya?

Bas na kar bas na
Seekha de tu honthon ko hansna
Ya toh tu paalna chhod
Ya aadat banaa le inn saapon ka dasna

Kisi ke baaton mein tu aana nahi
Khokhli ho jaana nahi
Dogle logon se tune dil ko lagana nahi
Khudko parakh sar upar rakh
Kyunke qk qk qk qk

Tu tere haunsle ki wajah
De doon tujhe laakhon ki ek salaah
Bheetar ke khauf se bekhauf reh
Bas kar tu mehnat zor se

Aur khauf ko de jalaa
Bann aaina tera bann aaina tera
Bann aaina tera aaina tera

Baithi thi main kamre ke kone mein
Kohni tak bahein mere aansun
Phir dekha aaine mein
Aaine ne bola mujhe main hi meri aas hoon
Palkein bhi bheegi-bheegi meri kyun?
Jab ki main dil ki toh saaf hoon
Sochke hi pochhe mere gaal
Gham ko chabaaya kiya aa thuu

Oh you! You got some energy
Let’em see let’em see the new you
Kar haasil sanity, clarity
Ke aane wala kalyug
Kalyug mein ho jaane hain kaafi chhal
Tu maslon pe aise na dilon ko masal
Keechad mein hee toh milega kamal

Baaton ki baaton mein tu aana nahi
Khokhli ho jaana nahi
Dogle logon se tune dil ko lagana nahi
Khudko parakh sar upar rakh
Kyunke qk qk qk qk

Tu tere haunsle ki wajah
De doon tujhe laakhon ki ek salaah
Bheetar ke khauf se bekhauf reh
Bas kar tu mehnat zor se
Aur khauf ko de jalaa
Bann aaina tera bann aaina tera
Bann aaina tera aaina tera

Aaina tu tera khud ko parakh
Jaan le khud hi ko kisi se na darr
Thoda dard hoga rakhna sabar
Galti se lena tu sabak
Galti se jaana na bhatak

Aaina tu tera khud ko parakh
Shakya kar le jeet door kar le shaq
Thoda dard hoga rakhna sabar
Galti se lena tu sabak
Galti se jaana na bhatak

Tu tere haunsle ki wajah
De doon tujhe laakhon ki ek salaah
Bheetar ke khauf se bekhauf reh
Bas kar tu mehnat zor se
Aur khauf ko de jalaa
Bann aaina tera bann aaina tera
Bann aaina tera aaina tera




Aaina Watch Video

Previous
Next Post »